aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
daam har mauj mein hai halqaa-e-sad kaam-e-nahang
dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak
[daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle]
[sad = hundred; nahang = crocodile; gauhar = pearl]
aashiqi sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karoon Khoon-e-jigar hone tak
[sabr-talab=patient]
ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tum ko Khabar hone tak
[taGaaful=neglect/ignore]
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa ki taaleem
main bhi hoon ek inaayat ki nazar hone tak
[partav-e-Khuur = sun’s rays; shabanam=dew]
[fanaa = perish; inaayat = favour]
yak nazar besh nahin fursat-e-hasti Gaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
[besh = excess; Gaafil = ignorant]
[raqs = dance; sharar = flash/fire]
Gam-e-hasti kaa ‘Asad’ kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang mein jalati hai sahar hone tak
[juz = other than; marg = death]
[I guess 'Asad' here is for Asadullah ie Ghalib's name]
0 Comments:
Post a Comment