Is raat ki tanhaayi me, khaamoshi ek dilaasa deti hai,
Kya hua, agar koi bolne wala nahi, kam se kam aansu bhari siskiyan to nahi hain.
Zindagi har mod pe ek sawaal khada karti hai,
Kya hua agar raasta dikhta nahi, kam se kam jawab dhoondne ka bahana to hai.
Purani tasveerein dikhti rahin raat bhar,
Kya hua agar beete din yaad aate hain, kam se kam aaj ka waqt to guzar jaata hai.
kuch ummeedein le kar ugte hue sooraj ko dekhti hun,
Kya hua agar raat andheri thi, duniya ke kisi kone me to tab bhi savera tha...
Tuesday, February 13, 2007
ummeedein kuch baaki hain..
Posted by eternity at 2/13/2007 11:13:00 PM
0 Comments:
Post a Comment