Saturday, March 31, 2007

tujhse naraz nahi zindagi

tujhse naaraz nahi zindagi, hairaan hun mai
o....hairaan hun mai
tere masoom sawalon se pareshan hun mai
o....pareshan hun mai

jeene ke liye socha hi nahi, dard sambhaalne honge..
muskuraye to, muskuraane ke karz utaarne honge..
muskuraun kabhi to lagta hai, jaise hothon pe karz rakha hai
tujhse naaraz nahi zindagi, hairaan hun mai....hairaan hun mai

aaj agar bhar aayi hain, boondein baras jaayengi..
kal kya pata inke liye, aankhein taras jaayengi..
jaane kab ghum hua, kahan khoya..ek aansoo chhupa ke rakha tha
tujhse naaraz nahi zindagi, hairaan hun mai
....hairaan hun mai

zindagi tere gham ne humein, rishte naye samjhaye..
mile jo humein, dhoop me mile, chhanv ke thande saaye..
o tujhse naaraz nahi zindagi, hairaan hun mai
....hairaan hun mai
tere masoon sawalon se pareshan hun mai
....pareshan hun mai

-----------------------------
Masoom(1983)
singer: Anoop Ghoshal / Lata Mangeshkar
music: R D Burman (of course)
lyrics: Gulzar (of course)

0 Comments:

blogger templates | Make Money Online