apni tanhaiyon se chhup kaun saka hai,
apni ummeedon se bach kaun saka hai..
jab jab bhi aetbaar kiya is dil ne,
yaar ne humein mayoos hi kiya hai
khamoshi kab khamosh hoti hai,
jab bhi milti hai, ek toofan khada karti hai
taufiiq-e-iztiraab hi maehz nejaat hai
sannaton ki gehraayi me gark hoti zindagi dikhti hai
khalavat ne pareshan na kiya,
humein to ranjishon ne kiya hai tabaah,
jis shab-e-furqat se khaate the khauf,
ab usi ki karte hain dua
sohbat-e-yaar me dhoondte the ahad-e-tarab,
ab to deedar-e-yaar bhi hai bas ek sazaa
Eternity
Thursday, August 23, 2007
dil se
Posted by Nistha at 8/23/2007 07:41:00 PM
Labels: urdu
0 Comments:
Post a Comment