dil se dil ko raah mil jaaye,
isse zyada aur kya chahiye
ek dost aap sa mil jaaye,
isse zyada aur kya chahiye
gham hazaar ho zamaane me,
aap aaye saamne, muskuraane ka bahana aur kya chahiye
daga de jaayein laakh zamane waale,
aapne thaama haath, is dil ko bharosa aur kya chahiye
khushiyaan to zamana baant lega,
gham me mila aapka saath, kaaravan aur kya chahiye
nakamyaabi se the jab mayoos hum,
andheron me aapne dikhaaya chiraag, hausla aur kya chahiye
gar khuda sun le is dil ki ek dua,
maang lun aapki sohbat, iltijaa aur kya chahiye
guzar jaaye umr-e-gurezaan jab guzarti ho,
dekh liya aapko chaar pal, umr-e-daraaz aur kya chahiye
Eternity
Thursday, September 06, 2007
aur kya chahiye
Posted by eternity at 9/06/2007 10:18:00 PM
0 Comments:
Post a Comment