kisi patthar ki moorat se mohabbat ka irada hai jo dil ki dhadkanein samjhe na aankhon ki zubaan samjhe
parastish ki tamanna hai, ibadat ka irada hai..
nazar ki guftaguu samjhe na jazbon ka bayaan samjhe
usi ke saamane uski shiqaayat ka irada hai
kisi patthar ki moorat se ...
tabiyat is ada pe aur phadkegi wo kya jaane
wo kya jaane ki apna kis qayamat ka irada hai
kisi patthar ki moorat se ...
suna hai har javaan patthar ke dil me aag hoti hai
magar jab tak na chhedo, sharmgi parde me soti hai
ye socha hai ki dil ki baat uske rubaru keh dein
nateeja kuch bhi nikle, aaj apni aarzoo keh dein
kar ek bejaan taqalluf se baghavat ka irada hai
kisi patthar ki moorat se ...
-Humraaz (1967) -
Sunday, December 30, 2007
lines for the day
Posted by eternity at 12/30/2007 11:13:00 PM
0 Comments:
Post a Comment