I must say this is the best one so far
dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai
main use dekhoon, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai
[ rashk = envy ]
haath dho dil se yahee garmee gar andeshe mein hai
aabgeena tundee-e-sahbaa se pighla jaaye hai
[ andesha = suspicion, aabgeena = a crystal glass, tundee = heat, sahbaa = red wine ]
Ghair ko yaa-rab woh kyon kar mana'a-e-gustaakhee kare ?
gar haya bhee usko aatee hai to sharma jaaye hai
(dint get the meaning of this one)
shauq ko ye lat ke hardam naala kheenche jaayiye
dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai
(dint get the meaning of this one)
door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
naghma ho jaata hai waan gar naala mera jaaye hai
[ bad = wicked, tarab = joy, naala = lamentation ]
Gharche hai tarz-e-taghaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
par ham 'eise khoye jaate hain ki woh paa jaaye hai
[ taghaaful = negligence, pardaadar = one who puts on a veil ]
uskee bazm-aaraaiyaan sunkar dil-e-ranjoor yaan
misl-e-naqsh-e-muddaa-e-ghair baitha jaaye hai
[ aaraaiyaan = decorations, ranjoor = sad/distressed, misl = record, naqsh = copy/print ]
(again I lose track here)
hoke aashiq woh paree-rukh aur naazuk ban gaya
rang khulta jaaye hai, jitna ki udata jaaye hai
[ paree_rukh = angel faced ]
(this one is totally awesome)
naqsh ko uske musawwir par bhee kya-kya naaz hai
kheenchta hai jis qadar, utana hee khinchta jaaye hai
[ naqsh = copy/print, musawwir = painter ]
(this one is magnificent too)
saaya meraa mujhse misl-e-dood bhaage hai 'Asad'
paas mujh aatish-bazaan ke kisse thehra jaaye hai
[ misl-e-dood = like smoke ]
(aur bazaan ka matlab abhi tak nahi mila :) )
Monday, April 07, 2008
Ghalib ki kalam se - yet again
Posted by Nistha at 4/07/2008 11:51:00 PM
0 Comments:
Post a Comment