Sunday, April 27, 2008

Vazaahat

ho nazaara poonam ki raat ka, misra Ghalib ke khayalaat ka
pighla sona ho mere jazbaat ka, ho armaan meri aab-e-hayaat ka

asar ho meri duaaon ka, ya pichchle janam ki vafaaon ka
dulhan ke chehre ka noor ho, dhoop ho neem-roz ke aftaab ka

iqteza-e-ishq ho, zulmat-e-shab-e-furqat ka chiraag ho
abyaaz-o-gulab ki nazafat ho, ho rooh tum hi is aalam-e-bisaat ka

maqdoor lafz zubaan me nahi, qaabil-e-tashbih kul kaaynaat nahi
vahaadat hai teri aisi, hun mai mahsood ahl-e-ushshaaq ka

-Eternity

keys: [vazaahat: description; neem-roz: mid day; iqteza: need; abyaaz: white; nazafat: purity; aalam-e-bisat: whole universe; maqdoor: capable; tashbih: description; vahadat: uniqueness; mahsood: envied; ushshaaq: lovers(plural)]

I am sure I would have committed great errors in urdu-usage here, please ignore the technicalities and great if you can point them to me.

0 Comments:

blogger templates | Make Money Online