Sab kahan kuch lal-a-o-gul me numayaan ho gayin
khaak me kya sooratein hongi, ki pinhaa ho gayin
vaan gaya bhi mai to unki gaaliyon ka kya jawaab
yaad thi jitni duaayein, sarf-e-darbaan ho gayin
ranj se khuugar hua insaan to mit jaata hai ranj
mushkilein mujh par padi itni, ki aasan ho gayin
yun hi gar rota raha Ghalib to ae ahl-e-jahaan
dekhna in bastiyon ko tum, ki veeran ho gayin!
-Ghalib
Saturday, May 10, 2008
sab kahan kuch
Posted by Nistha at 5/10/2008 12:51:00 AM
0 Comments:
Post a Comment