khwaabon me hi mila kijiye, jahan aapki masroofiyat nahi hoti
aap khul ke muskuraate hain, zamaane bhar ki shikayat nahi hoti
jahan koi sawaal nahi karta, na maangte hain wajah har baat ki
nazar bhar dekhne ki khaatir, zaruri kisi ki ijaazat nahi hoti
dastoor humein baandhte nahi, na junoon pe bandish lagti hai
koi khuda-haafiz nahi kehta, jahan kabhi rukhsat nahi hoti
ishq ke kaayde nahi marqoom, ikraar pe na khauf-e-rusvaayi hai
waqt haathon se nahi chhoot-ta jahan, adhoori koi hasrat nahi hoti
kaash ye khwaab chale yun hi, aur na khule ye aankh kabhi
jaante hain hum, haqeeqat kabhi is kadar khoobsurat nahi hoti
-Eternity
Wednesday, June 18, 2008
taabeer
Posted by Nistha at 6/18/2008 07:21:00 PM
0 Comments:
Post a Comment