Red for fire
Ishq par zor nahi, hai ye wo aatish Ghalib
ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
Red for passion
mae pilaakar aapka kya jaayega,
jaayega eemaan jiska jaayega
qatl ki jab usne di dhamki mujhe,
keh diya maine bhi dekha jaayega
Red for hatred
Barbadi-e-dil jabr nahi Faiz kisi ka
wo dushman-e-jaa'n hai to bhula kyun nahi dete
Red for indifference
Dekho Na Hum Ko Gaur Se Ahal e Junoon Ab
Un Ke Karam Se Dard Hume Har Kadam Mile
Kaise Kahen Dayaar Se Tha Kaun Wo 'Zafar'
Rang e Shikast e Ishq Jise Beraham Mile
all pics courtesy: flickr
1 Comment:
Red for salsa?
Post a Comment