Saturday, July 19, 2008

ishq

tumhe paane ki shart baghair chahna, ye bhi to ishq hai
tumhe na dekh ke bhi dekh paana, ye bhi to ishq hai

na izhaar ki zid rakhna, na iqraar sunne ki talab hona
tumhe sukoon se yaad karte rehna, ye bhi to ishq hai

kaun kehta hai bin mile ye ishq adhoora hai
na mil ke bhi tujh me kho jaana, ye bhi to ishq hai

wo ishq bhi kya jo ibaadat ki hadd tak na pahuche
tujhe rutba-e-Khuda karte jaana, ye hi to ishq hai

-Eternity

P.S. I have a feeling something is missing and wrong in the last couplet...
Khair...

3 Comments:

mo said...

I have a feeling something is missing and wrong in the last couplet...

:p

Prashant said...

oak se ashq piyen aur kahen ki aab-e-hayat ka maza kya hai
dil-e-qatil-e-paaidaar ke sajde lagana ye bhi to ishq hai

na to khud ki hi khabar ho, na zamane ki fikar hi
usko socha usko maanaa, wo hi to ishq hai


aap "kalam" k saath dino din behatar hote ja rahe ho :)

Nistha said...

welcome to the club :)

blogger templates | Make Money Online