aa, ki meri jaan ko qaraar nahi hai
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]
dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nasha ba-andaaza-e-khumaar nahi hai
[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
khumaar = intoxication ]
giriya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haay ! ki rone pe ikhtiyaar nahi hai
[ giriya = weeping, ikhtiyaar = control ]
hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaaq ki ghubaar nahi hai
[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
khak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, ghubaar = clouds of dust ]
dil se uthaa lutf-e-jalva haay ma'anee
ghair-e-gul aainaa-e-bahaar nahi hai
[ ma'anee = meanings, ghair-e-gul = blossoms ]
qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar nahi hai
[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]
tune qasam maikashee ki khaayi hai 'Ghalib'
teri qasam ka kuchch aetbaar nahi hai !
[ maikashee = boozing, aetbaar = trust/faith ]
Details to follow in the poetry blog(hopefully soon)
Saturday, May 24, 2008
ki rone pe ikhtiyaar nahi hai
Posted by Nistha at 5/24/2008 01:24:00 AM
0 Comments:
Post a Comment