dint want to have an overdose of intense ghazals at this time of night but cant resist posting this one, yun laga ki haalat ko Ghalib ne pehle hi zubaan de rakhi hai-
koi ummeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
maut ka ek din mu'ayyan hai
neend kyon raat bhar nahi aatee ?
aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahi aati
jaanta hoon sawaab-e-taa'at-o-zahad
par tabiyat idhar nahi aati
hai kuchch aisi hi baat jo chup hoon
warna kya baat kar nahi aati ?
kyon na cheekhon ki yaad karate hain
meri aawaaz gar nahi aati
daagh-e-dil gar nazar nahi aata
boo bhi 'ei chaaraagar ! nahi aati
[ chaaraagar = healer/doctor ]
ham wahaan hain jahaan se hamko bhi
kuchch hamaari khabar nahi aati
marte hain aarzoo mein marne ki
maut aatee hai par nahi aati
kaaba'a kis muh se jaaoge 'Ghalib'
sharm tumko magar nahi aati
Saturday, May 24, 2008
koi ummeed bar nahi aati
Posted by Nistha at 5/24/2008 01:45:00 AM
1 Comment:
its a lovely ghazal :)
Post a Comment