Wednesday, February 28, 2007

Lamhe

Apni kahani likhni hai, apni hi zubaan likhni hai
har lamhe ko qaid karna hai, uski har daastan likhni hai

LAMHE - I

2nd Feb, 2003
Meri 20th birthday ki party thi. College me kuch acche aur kuch bure anubhavon ke baad mai finally college life me settle hui thi. B.E. ka teesra saal tha aur mere kaafi nazdeeki dost ban chuke the. Mai kuch hadd tak khushnaseeb rahi hun doston ke maamle me, mere school friends abhi bhi utne hi close hain. Mujhe ye party hamesha isliye yaad rahegi kyunki mere liye wo college life ka aur kaafi saare emotions ka turning point thi. Sabse pyaara tohfa jo mujhe us din mila tha, wo hai mera pet turtle, jiska naam maine 'speedy' rakha hai. I thank Ruchi, Sheetal n Ravish for the cutest gift. Kitna accha hota agar mai speedy ko yahan la paati but I am sure ki mummy uski dekhbhaal mujhse zyada acche se kar rahi hain. The other good thing about this pet is that mujhe pata hai wo mujhse zyada jeene wala hai, isliye mujhe use kabhi miss nahi karna padega :)
Those moments are also special due to my other friends, I discovered my best friend(s) that day. Somehow undergrad ke din sabse zyada khaas hote hain n dil ke sabse zyada nazdeek. N I also miss Shreemaya's crispy veg now, it was so delicious.

* Khair, ye blog meri koshish hai un lamhon ko zinda aur dil ke kareeb rakhne ki, jo meri zindagi me defining points rahe hain. Mai is ke through unhe fir se jeena chahti hun aur un logon ko yaad karti hun jinse ab dur hone ke kaaran roz baat nahi ho paati. Aur isse pehle ki zindagi ki is bhaag-daud me hum ek doosre ko bhoolne lagein, mai yaadon ko taaza rakhna chahti hun.
Ek aur koshish hai, hindi me likhne ki. Mai pehle hi kaafi niraash ho chuki hun kyunki mujhe kaafi cheezon ke hindi shabd yaad nahi aa rahe hain. Ummeed karti hun ki in blogs ke zariye meri hindi ko bhi ek nayi shuruaat milegi *

0 Comments:

blogger templates | Make Money Online